Friday, March 21, 2008

INSAAN TOA AISA HI HOTA HAI !!

Kabhi beete kal meing khota hai,
Kabhi aate lamho ke sapne sajata hai,
Par kabhi aaj mein nahi rehta hai,
Insaan toa aisa hi hota hai!!

Kabhi jo paas nahi uske liye rota hai,
Kabhi khwab pura hoga ya nahi iski chinta karta hai,
Paar jo hasil hain uss khushi mein na kabhi hansta hai,
Insaan toa aisa hi hota hai!!

Prime minister ne kya kiya isko wooh janna chahta hai,
Filmi sitaron ki jindagi mein usko ruchi hai,
Paar apne paas rehte logon ki kya wooh khabar rakhta hai?
Insaan toa aisa hi hota hai!!

Apne dukho mein wooh rota hai,
Apni khushi se jhuum uthta hai,
Par kya yeh wohi dusro ke liye mehsoos karta hai??
Insaan toa aisa hi hota hai !!

Bhagwan se dua mangne mein jab haath uthaya hai,
Uske aage jab bhi saar zukaya hai,
Tab maine insaan ko insaan banane ka vardaan manga haiā€¦..
Par kya kare Insaan toa aisa hi hota hai !!!!